Windows 11 me dark mode activate kaise kare

Hello friends aaj hum aapke liye windows 11 feature ke dark mode ke bare me aapko batane wale hai. Yah post Aaj ke pc ya laptop per work karne wale sabhi ke liye bahut useful hai. Aaj hum jis digital world me ji rahe hai. Aaj charo aur screens se trapped khud ko payenge. Sabhi jagah jayda light hone se humari aankho ke liye harmful ho sakta hai. Isliye apko apne aankho jayda dhyan dene ki jarurat hai. Humari yaha  post unee sabhi persons ke liye hai. Jo kafi jayda time tak laptop aur pc per work karte hai unke liye important hai. Aaj ke time sabhi ko kisi na kisi prakar ki eyes se related problem hai. Yaha sabhi problem tabhi create hoti hai. Jab aap pc ya laptop ka use jarurat se kafi adhik karne lagte hai.
how to activat night mode on windows 11
Isliye aap logo ke liye jaruri ho jata hai ki aap computer ya laptop use karte hue dark mode ka use kare.jitne bhi log adhik samay tak computer aur laptop par work karte hai. Unki eye par iska effect kafi time ke bad dekhne ko milta. uska asar(effect) kame karne ke liye hum dark mode ka use karte hai. dark mode screen ke white part ko black kar deta hai. Isee screen par alag alag colour ke according banya gaya. Dark mode ka sabse badiya fayda yaha hai ki jab apke computer ya laptop ka background dark hota hai. Tab waha electricity ki consumption kame hoti hai kyeki is time cpu ko colour banane nahi padte hai. Is Karan apke laptop ki batter jayda chalti hai. Dark mode ka use karne par moniter se niklne light kame ho jati hai. Jise apke eye par light effect bahut kame padta hai. Jo bhi log jarurat se jayda screen time yani computer aur laptop ka use jayda karte unhe early age me eyes ke related problem create ho jati hai.
{getToc} $title={Table of Contents}

Dark Mode kya hai

dark mode ek tarah ki dark theme hoti hai jisko aap jab start karte hai to apke laptop ya pc me dark effect dekhne ko milta hai. jab aap dark mode ka use kare rahe hote hai tab apke laptop aur mobile ki battary save hoti hai. laptop me battary ka sabse bada usage screen ki brightness me hoti hai. jab aap dark mode ko start karte hai tab operating system aur application ka colour badal kar black kar deta hai. jab apke laptop me dark mode on rahta hai tab apke mobile ke battary ki saving ho rahi hoti hai aur dark mode hamari eye ke liye bhi achha hota hai.
aaj ke time me sabhi devices  me dark mode ko support aata hai. dark mode ka use karne se aapki eye safe rahti hai. aaj ke time ke sabhi operating system me dark mode ka support aata hai. aap jab dark mode ka use karte hai tab apke laptop aur pc ke display ka colour aur theme dark shade me ho jata hai. yaha apki aankho ke liye bahut achha hota hai. is tarah ki display par aap text aur image ko achhi tarah se dekha paate hai. dark mode user ke experience ko achha karta hai. friends yadi aap sabhi laptop aur pc par long time take work karte hai to yaha apki aankho ke liye achha hota hai. jab laptop ya pc ko lambe time tak use kiya jata hai to tab iska bura asar apki aankho padta hai. window ke user ko dhyan me rakhte hue yaha feature sabhi operating  me mil jata hai. taki aap jayda se jayda time tak laptop ya computer use kar sake.

Dark mode important kye hai

aaj ke samay me sabhi laptop aur computer me dark mode aata hai. dark mode apko jayda samay tak karne ke liye important hota hai. aaj ke time me online education me mobile ya laptop ko study ke liye use kiya jata hai isliye student ke liye dark mode important ho jata hai. aapko hum dark mode se related kuch aur important point ke bare me batane wale hai.
  1. Clarity and selection me sudvidha-: dark mode me apko colour, text aur baki sabhi elements sabhi darker shades me hote hai. jo display me sabhi text documents, emails, webpages ya kisi bhi application ko use karne me better clarity provide karta hai.
  2. Better Rest-: aap jab kisi dark room ya kisi dimly environment me work karte hai tab dark mode apke ke liye bahut achha hota hai. yaha apke aankho(eye) par bilkul strain nahi padne deta hai.
  3. Eyes ki safety-: aap jab dark mode use karte tab yaha apke eyes ke liye kafi comfortable hota hai. special aap jab night ya kisi low light environment me work karte hai. iska brightness ko low karne se apke eyes par padne wala strain kame hota hai.
  4. Productivity and battery saving-: aap jab laptop ,mobile ya tablet me dark mode ka use karte hai. tab apke device ka battary backup kafi achha dekhne ko milta hai. isee apke battary ki life bhi bade jati hai.
apke liye yaha kuch important point hai. jinko dekhte hue apko dark mode ka use jarur karna chaiye. dark mode apke aankho(eye) ko protection bhi deta hai saath hi apke device  ki life ko bada deta hai. inee sabhi benifits ko dekhte hue apko dark  mode ka use karna chaiye.

Windows 11 me dark mode [Night mode] ko activate kaise kare

windows 11  laptop me apko dark mode ko enable karne ke liye apko kuch setting provide ki jati hai. apko humare dwara bataye gayi sabhi steps ko achhe se follow karna hai. apke bhi system me dark mode ya night mode easily activate ho jayega.
Step-:1 apko sabse pahle apne windows laptop me search bar par aa jana yaha setting likha kar search kar lena hai. apko setting wala option dekhne ko mil jayega is par apko click kar lena hai.
setting wale option par click kare
Step-:2 aap jab setting wale option par click karte hai apke screen par bahut sare option dekhne ko mil jate. apko Personalization option par click kar lena hai.
personalization option par click kare
Step-:3 personalization option par click karte hi apke screen par kuch option show honge apko colour wale option par click karna hai.
colour option par jaye
Step-:4 aap jab colour wale option par click karte hai tab apko Light,dark aur custom jaise option dekhne ko mil jayege. apko kewal dark wale option par click karna hai.
ancent colour option par click kar dark mode select kare
Step-:5 ab aap screen ko scroll karte to apko sabhi option me dark mode ko select kar lena hai. ab apke laptop ya pc me dark mode start ho jayega. ab dark mode ko on ki sabhi process complete ho gayi hai.
apko dark ko select kar colour select kare lena hai
friends is prakar se aap apne pc ya laptop me easily dark mode (night mode) ko start kar sakte hai. ab aap jab long time tak computer ya laptop ka use karega apke liye bahut useful rahega aur apki eyes safe rahegi.

Conclusion

 friends aaj humne apko computer aur laptop ke dark mode ki puri jankari di. apko humari yaha post achhi laghi hogi. aap is post se related kuch puchna chahte ho to aap hume comment kar bata sakte hai. isee prakar ki intresting aur amazing post ko read karne ke liye aap humare channel ko subscribe kar sakte hai. apse fir milte hai ek new post ke saath tab tak ke liye good bye.

Post a Comment

Previous Post Next Post