Corrupt memory card ko format (sahi) karne ki best method

friends aaj hum apke liye pendrive aur memory card ke related post lekar aaye hai. aaj hum apko batane wale ki kis prakar aap kisi kharb ya corrupt pendrive ya memory card ko aap kis prakar se sahi kar sakte hai. apko is article me bataye jane wali sabhi process ko follow karna hai. apko kisi computer repair shop ya data recovery expert ke pass jane ki koi jarurat nahi. aisa kai baar hua hoga aap pendrive ya memory card ko conputer ya laptop me insert karte hai par waha open nahi hoti hai. aise me hume lagata hai humari pendrive ya memory card kharab ho gayi hai. pendrive ke work nahi karne ke bahut se karan ho sakte hai.  
Corrupt memory card ko sahi kaise kare
jab aap pendrive ya memory card ka long time tak use karte hai. usme kuch problem aa jati hai jis vajah se apka pendrive work nahi kar raha hota hai. pendrive me aane wali inee sabhi problem ke kuch solution hote hai jinse sahi kiya ja sakta hai. apka pendrive jab band ho jata hai aap usko dustbin me dalana chahte ho par apko hum bata de pendrive aur memory card tab tak kharab nahi hote hai jab tak ye chip se crack na ho jaye. apne jarur apke pendrive aur memory me chip lagi hoti hai. agar waha se sahi hai tab apke pass chance hai apki pendrive ya memory card sahi ho sakti hai.
{getToc} $title={Table of Contents}

Pendrive/ Memory Card ke corrupt kaise hote hai

apke pendrive ya memory card ke corrupt hone ki main reason hai apke memory card ya pendrive me storage device ka firmware ka corrupt ho jana jis wajah se apki pendrive sahi se work nahi karti hai. iske liye apko ek simple sa kaam karna hota hai apko usee pendrive ko computer ya laptop me format kar lena hai. apka pendrive ya memory card work karne lagega. pendrive aur memory card work nahi kar rahi aur bhi wajah ho sakti jo is prakar hai.
1.) aap jis bhi pendrive ya memory card ka use kar rahe waha chip se crack nahi honi chaiye.
2.) apke computer ya laptop ka usb port sahi hona chaiye isliye dusare computer ya laptop me laga kar jarur check kar le.
3.) apke memory card ke gold pin ko jarur check kare ki waha carbon to jame nahi gaya. aap usee rubbers se clean kar sakte hai. 

Memory card ya pendrive ke corrupt ho jane par sahi kaise kare

apki jab memory card ya pendrive corrupt ya kharab h jaye to is problem ke solution ke liye apke pass computer ya laptop hona chaiye tabhi aap corrupt memory card ya pendrive ko sahi kar sakte hai.
Step-:1 apko apna computer ya laptop ko on kar lena hai app jis bhi pendrive ya memory card ko sahi karna chahte ho to sabse pahle usee apne computer ya laptop me insert kar lena hai.
Step-:2  aap windows 10 Os user hai to apko computer desktop ( computer ke home par) aa jana hai. yaha screen ke left side niche start ke pass apko search tool bar dikhye dega apko yaha CMD  type kare apki screen par CMD aayega us par righ click karke Run as Administrator par click karna hai. apki screen CMD show hone lagega.
search icon Cmd likh kar run as administrator type kare

Step-:3 ab apko CMD box me Diskpart Command ko type karna hai aur apko Enter button press karna hai.
Cmd command box me diskpart type kare
Step-:4 ise process ko karne ke baad apko Computer ya laptop me apka Storage show hoga yaha par humko Disk 0 aur Disk 1 ka option show hoga.
Hume disk 0 aur disk 1 option show honge
yaha par apko Disk 0 option hota waha apki computer ki hard disk ko show karta hai. aur Disk 1 apki Memory card ya pendrive ko show karta hai isii par apko click karke Enter button press kar lena hai.
Note:- aap bhi storage ki dekh kar hi samjha sakte hai apko disk 0 ko select karna ya disk 1. apka pendrive 8gb ka hoga to waha disk part 1 par show hogha. apko is baat ka dhyaan rakhna hai ki apko hard disk ko select nahi karna hai. nahi to apki hardisk format ho jayegi. apka sara data chala jayega. isliye aap humari sabhi steps ko achhi tarah se follow karna hai. 
 Step:-5 ab humara work complete ho chuka hai ab apko cmd box clean  likha show hoga. apko simply Enter button press karte hue aage bad jana hai. ab apko Create partition  primary likha kar  Enter kare and again Select partition 1  type karke press kar lena hai.
Step:-6 ab is process me apko dhyan rakhna hai aap pendrive ko sahi kar rahe hai. tab fs=htfs type kar enter button press karna hai.
  1. For Pendrive-: Fs=htfs
  2. Memory Card-: Fs=Fat32
yadi aap memory card ko sahi kar rahe ko tab apko fs=fat32 type kar Enter button press kare.
Step-:7 ab apko last me Active type kar Enter button press karna hai aur fir apko Assign type kar Enter button press karna hai.
ab apka kaam pura ho chuka hai. ab aap cmd ko close kar dijiye. ab aap apne memory card ya pendrive ko check kar sakte hai. aap dekhege apka device format ho chuka hai ab apke pendrive me sabhi corrupt file delete ho chukai hai. ab apka pendrive pahle ki tarah sahi se work karne laga hai. apne pendrive ya memory card jise bhi sahi kiya hai. waha pahle ki tarah sahi work kar raha hai. ab apka pendrive ya memory card jab bhi kharb ho jaye to usko fekane se pahle check kar le waha crack to nahi yadi crack nahi hai to is tarike usee sahi kiya ja sakta hai.
ab apko humare dwara bataye gayi sabhi steps ko achhe se follow karna hai. kisi bhi steps miss kiye achhe se follow karna hai.

Conclusion

dosto aaj humne apko post ke dwara corrupt ya kharab pendrive ya memory card ko kis prakar se sahi Kiya ja sakta hai. Apko humare dwara di gayi jankari achhi lagi hogi. Is prakar ki posto ko padhne ke liye aap humare channel ko subscribe kar sakte. Aapse fir milte ek new post ke saath tab Tak ke liye good bye. Apko ise post se related koi bhi doubt ho to aap hume comment kar bata sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post